Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   “Word-Word-Word,    February 11, 2023 at 19:53    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

1311  GEN 43:20  “Janāb-e-ālī, hamārī bāt sun lījie. Is se pahle ham anāj ḳharīdne ke lie yahāṅ āe the.
1341  GEN 44:16  Yahūdāh ne kahā, “Janāb-e-ālī, ham kyā kaheṅ? Ab ham apne difā meṅ kyā kaheṅ? Allāh hī ne hameṅ qusūrwār ṭhahrāyā hai. Ab ham sab āp ke ġhulām haiṅ, na sirf wuh jis ke pās se pyālā mil gayā.”
1355  GEN 44:30  Yahūdāh ne apnī bāt jārī rakhī, “Janāb-e-ālī, ab agar maiṅ apne bāp ke pās jāūṅ aur wuh dekheṅ ki laṛkā mere sāth nahīṅ hai to wuh dam toṛ deṅge. Un kī zindagī is qadar laṛke kī zindagī par munhasir hai aur wuh itne būṛhe haiṅ ki ham aisī harkat se unheṅ qabr tak pahuṅchā deṅge.
1439  GEN 47:18  Agle sāl wuh dubārā us ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, “Janāb-e-ālī, ham yih bāt āp se nahīṅ chhupā sakte ki ab ham sirf apne āp aur apnī zamīn ko āp ko de sakte haiṅ. Hamāre paise to ḳhatm haiṅ aur āp hamāre maweshī bhī le chuke haiṅ.
9338  1KI 17:18  Tab bewā Iliyās se shikāyat karne lagī, “Mard-e-Ḳhudā, merā āp ke sāth kyā wāstā? Āp to sirf is maqsad se yahāṅ āe haiṅ ki Rab ko mere gunāh kī yād dilā kar mere beṭe ko mār ḍāleṅ!”
9647  2KI 4:40  Sālan pak kar nabiyoṅ meṅ taqsīm huā. Lekin use chakhte hī wuh chīḳhne lage, “Mard-e-Ḳhudā, sālan meṅ zahr hai! Ise khā kar bandā mar jāegā.” Wuh use bilkul na khā sake.
23475  MAT 9:27  Jab Īsā wahāṅ se rawānā huā to do andhe us ke pīchhe chal kar chillāne lage, “Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
24705  MRK 10:48  Bahut-se logoṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh mazīd ūṅchī āwāz se pukārtā rahā, “Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ!”