2451 | EXO 32:12 | Misrī kyoṅ kaheṅ, ‘Rab Isrāīliyoṅ ko sirf is bure maqsad se hamāre mulk se nikāl le gayā hai ki unheṅ pahāṛī ilāqe meṅ mār ḍāle aur yoṅ unheṅ rū-e-zamīn par se miṭāe’? Apnā ġhussā ṭhanḍā hone de aur apnī qaum ke sāth burā sulūk karne se bāz rah. |
13005 | JOB 6:23 | mujhe dushman ke hāth se chhuṛāo, fidyā de kar zālim ke qabze se bachāo’? |
13279 | JOB 17:15 | to phir yih kaisī ummīd hogī? Kaun kahegā, ‘Mujhe tere lie ummīd nazar ātī hai’? |
13616 | JOB 31:24 | Kyā maiṅ ne sone par apnā pūrā bharosā rakhā yā ḳhālis sone se kahā, ‘Tujh par hī merā etamād hai’? Hargiz nahīṅ! |
13667 | JOB 33:13 | Āp us se jhagaṛ kar kyoṅ kahte haiṅ, ‘Wuh merī kisī bhī bāt kā jawāb nahīṅ detā’? |
13738 | JOB 35:14 | To phir wuh āp par kyoṅ tawajjuh de jab āp dāwā karte haiṅ, ‘Maiṅ use nahīṅ dekh saktā,’ aur ‘Merā muāmalā us ke sāmne hī hai, maiṅ ab tak us kā intazār kar rahā hūṅ’? |
13739 | JOB 35:15 | Wuh āp kī kyoṅ sune jab āp kahte haiṅ, ‘Allāh kā ġhazab kabhī sazā nahīṅ detā, use burāī kī parwā hī nahīṅ’? |
13763 | JOB 36:23 | Kis ne muqarrar kiyā ki use kis rāh par chalnā hai? Kaun kah saktā hai, ‘Tū ne ġhalat kām kiyā’? Koī nahīṅ! |
13832 | JOB 38:35 | Kyā tū bādal kī bijlī zamīn par bhej saktā hai? Kyā wuh tere pās ā kar kahtī hai, ‘Maiṅ ḳhidmat ke lie hāzir hūṅ’? |
18547 | ISA 41:26 | Kis ne ibtidā se is kā elān kiyā tāki hameṅ ilm ho? Kis ne pahle se is kī peshgoī kī tāki ham kaheṅ, ‘Us ne bilkul sahīh kahā hai’? Koī nahīṅ thā jis ne pahle se is kā elān karke is kī peshgoī kī. Koī nahīṅ thā jis ne tumhāre muṅh se is ke bāre meṅ ek lafz bhī sunā. |
19230 | JER 8:8 | Tum kis tarah kah sakte ho, ‘Ham dānishmand haiṅ, kyoṅki hamāre pās Rab kī sharīat hai’? Haqīqat meṅ kātiboṅ ke farebdeh qalam ne ise toṛ-maroṛ kar bayān kiyā hai. |
23937 | MAT 21:42 | Īsā ne un se kahā, “Kyā tum ne kabhī kalām kā yih hawālā nahīṅ paṛhā, ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā, wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā. Yih Rab ne kiyā aur deḳhne meṅ kitnā hairatangez hai’? |
24630 | MRK 9:23 | Īsā ne pūchhā, “Kyā matlab, ‘Agar āp kuchh kar sakte haiṅ’? Jo īmān rakhtā hai us ke lie sab kuchh mumkin hai.” |
24726 | MRK 11:17 | Tālīm de kar us ne kahā, “Kyā kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ likhā hai, ‘Merā ghar tamām qaumoṅ ke lie duā kā ghar kahlāegā’? Lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.” |
25865 | LUK 20:17 | Īsā ne un par nazar ḍāl kar pūchhā, “To phir kalām-e-muqaddas ke is hawāle kā kyā matlab hai ki ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā, wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā’? |
26584 | JHN 10:34 | Īsā ne kahā, “Kyā yih tumhārī sharīat meṅ nahīṅ likhā hai ki Allāh ne farmāyā, ‘Tum Ḳhudā ho’? |
26676 | JHN 12:27 | Ab merā dil muztarib hai. Maiṅ kyā kahūṅ? Kyā maiṅ kahūṅ, ‘Ai Bāp, mujhe is waqt se bachāe raḳh’? Nahīṅ, maiṅ to isī lie āyā hūṅ. |
26746 | JHN 14:9 | Īsā ne jawāb diyā, “Filippus, maiṅ itnī der se tumhāre sāth hūṅ, kyā is ke bāwujūd tū mujhe nahīṅ jāntā? Jis ne mujhe dekhā us ne Bāp ko dekhā hai. To phir tū kyoṅkar kahtā hai, ‘Bāp ko hameṅ dikhāeṅ’? |
26812 | JHN 16:17 | Us ke kuchh shāgird āpas meṅ bāt karne lage, “Īsā ke yih kahne se kyā murād hai ki ‘Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge, phir thoṛī der ke bād mujhe dubārā dekh loge’? Aur is kā kyā matlab hai, ‘Maiṅ Bāp ke pās jā rahā hūṅ’?” |
26814 | JHN 16:19 | Īsā ne jān liyā ki wuh mujh se is ke bāre meṅ sawāl karnā chāhte haiṅ. Is lie us ne kahā, “Kyā tum ek dūsre se pūchh rahe ho ki merī is bāt kā kyā matlab hai ki ‘Thoṛī der ke bād tum mujhe nahīṅ dekhoge, phir thoṛī der ke bād mujhe dubārā dekh loge’? |