Wildebeest analysis examples for:   urd-urdgvr   Word—Word    February 11, 2023 at 19:53    Script wb_pprint_html.py   by Ulf Hermjakob

18789  ISA 53:8  Use zulm aur adālat ke hāth se chhīn liyā gayā. Us ke daur ke log—kis ne dhyān diyā ki us kā zindoṅ ke mulk se tālluq kaṭ gayā, ki wuh merī qaum ke jurm ke sabab se sazā kā nishānā ban gayā?
23296  MAT 4:18  Ek din jab Īsā Galīl kī Jhīl ke kināre kināre chal rahā thā to us ne do bhāiyoṅ ko dekhā—Shamāūn jo Patras bhī kahlātā thā aur Andriyās ko. Wuh pānī meṅ jāl ḍāl rahe the, kyoṅki wuh māhīgīr the.
23321  MAT 5:18  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jab tak āsmān-o-zamīn qāym raheṅge tab tak sharīat bhī qāym rahegī—na us kā koī harf, na us kā koī zer yā zabar mansūḳh hogā jab tak sab kuchh pūrā na ho jāe.
23495  MAT 10:9  Apne kamarband meṅ paise na rakhnā—na sone, na chāṅdī aur na tāṅbe ke sikke.
23920  MAT 21:25  Mujhe batāo ki Yahyā kā baptismā kahāṅ se thā—kyā wuh āsmānī thā yā insānī?” Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
24022  MAT 23:35  Natīje meṅ tum tamām rāstbāzoṅ ke qatl ke zimmedār ṭhahroge—rāstbāz Hābīl ke qatl se le kar Zakariyāh bin Barakiyāh ke qatl tak jise tum ne Baitul-muqaddas ke darwāze aur us ke sahan meṅ maujūd qurbāngāh ke darmiyān mār ḍālā.
24050  MAT 24:24  Kyoṅki jhūṭe Masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo baṛe ajīb-o-ġharīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki Allāh ke chune hue logoṅ ko bhī ġhalat rāste par ḍāl deṅ—agar yih mumkin hotā.
24808  MRK 13:22  Kyoṅki jhūṭe Masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo ajīb-o-ġharīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki Allāh ke chune hue logoṅ ko ġhalat rāste par ḍāl deṅ—agar yih mumkin hotā.
25524  LUK 11:50  Natīje meṅ yih nasl tamām nabiyoṅ ke qatl kī zimmedār ṭhahregī—duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak,
28299  ROM 11:22  Yahāṅ hameṅ Allāh kī mehrbānī aur saḳhtī nazar ātī hai—jo gir gae haiṅ un ke silsile meṅ us kī saḳhtī, lekin āp ke silsile meṅ us kī mehrbānī. Aur yih mehrbānī rahegī jab tak āp us kī mehrbānī se lipṭe raheṅge. Warnā āp ko bhī daraḳht se kāṭ ḍālā jāegā.
29386  EPH 5:15  Chunāṅche baṛī ehtiyāt se is par dhyān deṅ ki āp zindagī kis tarah guzārte haiṅ—besamajh yā samajhdār logoṅ kī tarah.
29562  COL 2:1  Maiṅ chāhtā hūṅ ki āp jān leṅ ki maiṅ āp ke lie kis qadar jāṅfishānī kar rahā hūṅ—āp ke lie, Laudīkiyā wāloṅ ke lie aur un tamām īmāndāroṅ ke lie bhī jin kī mere sāth mulāqāt nahīṅ huī.
29642  1TH 2:5  Āp ko bhī mālūm hai ki ham ne na ḳhushāmad se kām liyā, na ham pas-e-pardā lālchī the—Allāh hamārā gawāh hai!
29904  2TI 2:10  Is lie maiṅ sab kuchh Allāh ke chune hue logoṅ kī ḳhātir bardāsht kartā hūṅ tāki wuh bhī najāt pāeṅ—wuh najāt jo Masīh Īsā se miltī hai aur jo abadī jalāl kā bāis bantī hai.